Thursday, June 11, 2009

kuch shayari bhi ho jaye

ruk se parda hata de zara sathiya
bas abhi rang-e-mehfil badal jayega

jo behoosh hai hosh me ayega
girne wala jo hai wo sambhal jayega

tum tasalli na do bas beithe raho
waqt kuch marne ka mera tal jayega

kya ye kam hai,masiha ke hone hi se
maut ka bhi irada badal jayega

suna hai usko mohhabat duwaye deti hai
jo dil pe chot to khaye magar gila na kare

khuda kisi ko kise par kabhi fida na kare
agar kare,to kayamat tak juda na kare!!

No comments:

Post a Comment